Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, March 7, 2011

Aakhri ayyaam mein saare hisaab likhoon ga

Aakhri ayyaam mein saare hisaab likhoon ga,
Main bhi ek din kitaab-e-hayaat likhoon ga,

Kahin khushi ka tazkara, kahin dukhoon ki dastan,
Kitaab-e-zeest ke main sare hi baab likhoon ga,

Kis tarha ham par shabaab aayaa tha,
Kis tarha dhal gaya yeh aaftaab, likhoon ga,

Tere hisse ki saari taabeerein,
Apne ujre jo khawb, likhoon ga,

Dil ke har zakhm ko kuredoon ga,
Chahatoon ke azaab likhoon ga,

Tere firaaq mein jo mehv-e-khayaal guzre hai,
Woh aankhoon mein saje saare saraab likhoon ga,

Jo baarha tashnagi barhaate rahe,
Woh mosamoon ke ataab likhoon ga,

Haqeeqatoon se mera waasta nahi,
Lagta hai saare wehem-o-khawb likhoon ga...

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...