Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, March 28, 2011

aks-e-Khushboo hoon bikharne se na roke koi

aks-e-Khushboo hoon bikharne se na roke koi
aur bikhar jaun to mujhe na samete koi
kaanp uthti hun mai ye Tanhai me
mere Chehre pe tera naam na parhle koi
jis tarah khwab mere ho gaye reza reza
is tarah se na kabhi toot ke bikhre koi
mai ti is din harasan hun ke jab hukam mile
khushk phoolon ko kitabon me na rakhe koi
ab to is raah se wo shakhs guzarta bhi nahi
ab kis umeed se darwaze se jahnke koi
koi awaaz,koi ahaat,koi chaap nahi
dil ki galyan badi sunsaan hain aye koi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...