Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, March 3, 2011

Dekh lo Khwab magar Khwab ka charcha na karo!


Dekh lo Khwab magar Khwab ka charcha na karo!
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


 
 
Dekh lo Khwab magar Khwab ka charcha na karo
Log jal jayenge sooraj ki tamanna na karo.

Waqt ka kya hai kisi pal bhi badal sakata hai
Ho sake tum se to tum mujh pe bharosa na karo.

Kirchiya.N Toote huye aks ki chubh jayengi
Aur kuch roz abhii aaina dekha na karo.

Ajanabi lagane lage Khud tumhen apna hi wajood
Apne din raat ko itna bhi akela na karo.

Khwab bachon ke khilaunon ki tarah hote hain
Khwab dekha na karo Khwab dikhaya na karo.

Be Khayali mein kabhi ungaliya.N jal jaayengi
Rakh guzare hue lamhon ki kureda na karo.

Mom ke rishte hain garmii se pighal jaayenge
Dhoop ke shahar mein Wafa ki tamnna na karo

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...