Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, March 11, 2011

hum parwariSH-e-loh-o-qalam kartay rahaiN gey

hum parwariSH-e-loh-o-qalam kartay rahaiN gey
Jo dil pe guzarti hai raqam kartay rahaiN gey
asbaab-e-GHam-e-ishq baham kartay rahaiN gey
weeraani-e-doraaN pe karam kartay rahaiN gey
haaN talkhiy-e-ayyaam aBHi aur baRHay gi
haaN ahl-e-sitam maSHq-e-sitam kartay rahaiN gey
manzoor ye talKHi ye sitam hum ko gawara
dum hai to madawa-e-alam kartay rahaiN gey
mai-KHana salamat hai to hum surKHi-e-mai say
tazayin-e-dar-o-baam-e-haram kartay rahaiN gey
baaqi hai lahoo dil maiN to her aSHq say paida
rang-e-lab-o-ruKHsaar-sanam kartay rahaiN gey
ik tarz-e-taGHful hai so woh unko mubarak
ik arz-e-tamanna hai so woh hum kartay rahaiN gey

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...