Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, March 29, 2011

Kahin Chaand Raaton Mein Kho Gaya

Kahin Chaand Raaton Mein Kho Gaya,
Kahin Chaandni Bhi Bhatak Gayi
Main Chiraag Woh Bhi Bujha Hua,
Meri Raat Kaise Chamak Gai
Meri Dastaan Ka Urooj Tha,
Teri Narm Palkon Ki Chaon Mein
Mere Saath Tha Tujhe Jaagna,
Teri Aankh Kaise Jhapak Gai
Kabhi Hum Miley To Bhi Kya Miley
, Wohi Dooriyan Wohi Faasley
Na Kabhi Hamarey Qadam Barhey,
Na Tumhari Jhijhak GaiTujhe Bhool Jane Ki Koshishein,
Kabhi Qaamyaab Na Ho Sakin
Teri Yaad Shaakh-E-Gulaab Hai,
Jo Hawa Chali To Lachak Gai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...