Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, March 17, 2011

Khamoshi E Jungle Ko Hamari Talash Thi

Khamoshi E Jungle Ko Hamari Talash Thi
Roothay Huway Bulbul Ko Hamari Talsh Thi

Jis Ko Hazaar Loriyaan Deen Bad E Sehar Ne
Uss Unkhili Kompal Ko Hamari Talash Thi

Paani Ki Tamanna Thi Keh Sahil Se Karoon Baat
Sargoshi E Sahil Ko Hamari Talash Thi

Hum Jis Ko Doodhtay Rhay Sehra Main Ja Baja
Uss Pyar Ki Manzil Ko Hamari Talash Thi

Bikhri Huwi Thi Zulf Kisi Aur Lams Se
Behtay Huway Kajal Ko Hamari Talash Thi

Wo Jiski Aarzoo Main Dhanak Dar Badar Phiri
Uss Reshmi Anchal Ko Hamari Talash Thi

Wo Janta Na Tha Gham E Doraan Se Niptna
Uss Tarz E Taghaful Ko Hamari Talash Thi

Kal Uss Ne Barasna Tha Kisi Dasht E Veeran Per
Paani Bharay Badal Ko Hamari Talash Thi

Teri Har Ik Ada Se Bana Hussn E Takhayyul
Jis Husn E Takhayyul Ko Hamari Talash Thi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...