Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, March 5, 2011

Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta

Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta,
Mandeiron Se Chiraaghon Ko Bhuja Ker Kuch Nahi Milta..
Koi Ik Adha Sapna Ho Tou Ho , Acha Bhi Lagta Hai,
Hazaron Khawb Ankhon Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta..
Sakoon Unko Nahi Milta Kabhi Pardes Bhi Ker,
Jinhen Apne Watan Se Dil Laga Ker Kuch Nahi Milta..
Issay Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ke Jhalar,
Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta..
Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharam Na Tootne Payen,
Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Ker Kuch Nahi Milta..
Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai,
Kissi Ke Hijr Mein Neendein Ga’nwa Ker Kuch Nahi Milta..
Jigar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi..
Wasi Be Faiz Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...