Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, March 19, 2011

sab kuch tu tere pass hai tu phir kiyon dil udass hai?

sab kuch tu tere pass hai
tu phir kiyon dil udass hai?
hai piyar bhi tere liye
khayal bhi tere liye
ye dil bhi tere pass hai
tu phir kiyon dil udass hai?
main sochta hoon bas tujhe
main dekhta hoon bas tujhe
jab mujh pe etebaar hai
tu phir kiyon dil udass hai?
hai zindagi tere liye ye dil, khushi tere liye
ye sab jo tere pass hai
tu phir kiyon dil udaas hai?
too neend main, tu khwab main
too mere dasht-o-aab main
har pal too mere saath hai
tu phir kiyon dil udass hai?
har simt hain gul khile houe
hain dost bhi mile houe
har simt piyar hi piyar hai
tu phir kiyon dil udass hai?
ye dil, khushi or etebaar
ye dost, khwab or ye piyar
sab kuch tu tere pass hai
tu phir kiyon dil udass hai?
dil k zakhmo par mat ro mere yaar,,
wkt har zkhma kaa marham hota hai,
dil se jo sachaa pyaar kare,
unka to khuda bhi deewana hota hai..
jab jab aapse milane ki ummid nazar ayi,
mere paav mai janjir nazar ayi,
gir pade aasun aakhon se ,
or har ek aasun mai aapki tasvir nazar ayi..

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...