Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, March 17, 2011

Silsilay Tez Hein Hawaon Ke

Silsilay Tez Hein Hawaon Ke
Cheekhti Raat Aaj Bhari Hay
Kerwatein, Raat Aur Bechaini
Ek Udaasi Hay Beqarari Hay

Mukhtaser Din Taveel Ratein Hein
Sunsnati Hawaon Ka Hay Shore
Garam Kumron Ki Hein Panah Gahein
Moosla Dhaar Barishon Ka Zore

Reengtay Khamshi Se Andheray
Surmaee Rutt Dhuwan Dhuwan Hay Fizza
Tod Jati Hay Daliyon Ke Baddan
Cheekhti Tez-O-Tund Serd Hawa

Nachti Hein Fizza Mein Yoon Boondein
Jaisay Jhankar Teri Payal Ki
Hont Khamosh Hein Baddan Bhojal
Jaisay Ummeed Koee Ghayal Si

Lerzan Lerzan Yeh Zerd Se Pattay
Nangay Pedon Pe Phadphadatay Hein
Serd Jhonke Udaas Shamon Ke
Dhool Yadon Ki Chod Jatay Hein

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...