Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, March 5, 2011

Teri Khushbo ka pata karti hy

Teri Khushbo ka pata karti hy,
Mujh pe ehasan hawa karti hy..
Shab ki tanhai mein ab to aksar,
Guftago tujh se raha karti hy..
Dil ko us raah pe chalana he nahi,
Jo mujhe tujh sy juda karti hy..
Zindagii meri thi lekin ab tu,
Tere kahane mein raha karti hy..
Us ne dekha he nahi varna ye aaNk,
Dil ka ehaval kaha karti hy..
Beniyaz-e-kaaf-e-dariya angusht,
Ret par naam lika karti hy..
Shaam py.Date he kisi shaKhs ki yaad,
Kucha-e-jaaN mein sada karti hy..
Mujh sy bhi us ka hy vaisa he suluk,
Haal jo tera ana karti hy..
Duk howa karata hy kuch aur bayaN,
Baat kuch aur howa karti hy..
Abr barase tu Enayat us ki,
ShaKh tu sirf dowa karti hy..
Masala jab bhi uTa chiraGhon ka,
Faisla sirf howa karti hy..

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...