Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, March 18, 2011

Tinke Tinke Jor Kar Hum Ne Banaya Ashiyan

Tinke Tinke Jor Kar Hum Ne Banaya Ashiyan
Burq Ko Ab Kya Kahein Jis Ne Jalaya Ashiyan
Ashiyan To Ashiyan Tha, Kaat Daali Shaakh Bhi
Kab Hai Saiyaadon Ko Phooti Ankh Bhaya Ashiyan
Andhiyon Se Har Tarah Mahfooz Hai, Samjhe The Hum
 Aya Jhonka Ek Hawa Ka , Aur Giraya Ashiyan
Daalte Hain Nazr-E- Bad Kuchh Taairan-E- Bad Qimash
Rakhna Tu Apni Hifazat Mein Khudaya Ashiyan
Subha Ko Woh Taair-E-Kamzarf Us Ko Kha Gaya
Raat Jis Jugnu Ne Uska Jagmagaya Ashiyan
Hai Jo Nazaan Chaar Tinkon Per, Ye Teri Bhool Hai
 Le Ke Jayega , Na Koi Saath Laya , Ashiyan
Kuchh Dinon Ka Khel Hai Ye Zindagani  Ai ' Hasan'
Waqt-E-Rukhsat, Kab Kisi Ke Kaam Aya Ashiyan

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...