Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, March 7, 2011

Zaalim tha vo aur zulm ki aadat bhi bahut thi

Zaalim tha vo aur zulm ki aadat bhi bahut thi,
majabur the ham us se muhabbat bhi bahut thi,

us but ke sitam sah ke dikha hi diya ham ne,
Apani tabiyat mein bagavat bhi bahut thi,

vaaqif hi naa tha ramz-e-muhabbat se vo varna,
dil ke liye thodi si inaayat bhi bahut thi,

yu hi nahi mashur-e-zamana mera qaatil,
us shakhs ko iss fan mein mahaarat bhi bahut thi,

kya daur-e-gazal tha ke lahu dil mein bahut tha,
aur dil ko lahu karane ki fursat bhi bahut thi,

har shaam sunate the hasino ko gazal ham,
jab maal bahut tha to sakhaavat bhi bahut thi,

bulava ke ham ko pashemaan bhi bahut hai,
kya kijiye kambakht ki shoharat bhi bahut thi...

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...